बूढ़ी गंडक के तट पर - डॉ. ज़ियाउर रहमान जाफरी

बूढ़ी गंडक के तट पर

बूढ़ी गंडक के तट पर था मेरा गांव
वहीं पास मल्लाहों का नांव
हमें नहीं जरूरत थी
किसी उद्यान,रेस्तरां मॉल या रेस्टोरेंट की
उस नदी के किनारे
दोस्तों के साथ बैठना
चावल और चना को भूने खाना
और हर तरफ फैले हुए पानी को देखना
उसकी तरंगों को आत्मसात करना
हमें सबसे ज्यादा अच्छा लगता था
कभी अकेला भी गया
तो वो नदी हमारी दोस्त बन जाती थी
कभी उछलती कभी गाती थी
कभी पास आती
और कभी लहरों के साथ भाग जाती थी....
~ डॉ. ज़ियाउर रहमान जाफरी


budhi gandhak ke tat par

budhi gandhak ke tat par tha mera gaon
wahi paas ke mallaho ki naav
hame nahin jarurat thi
kisi udyan, restara, mall ya restaurant ki
us nadi ke kinare
dosto ke sath baithna
chawal aur chana ko bhune khana
aur har taraf faile hue pani ko dekhna
uski tarango ko aatmsat karna
hame sabse jyada achchha lagta tha
kabhi akela bhi gaya
to wo nadi hamari dost ban jati thi
kabhi uchhlati kabhi gati thi
kabhi paas aati
aur kabhi lahro ke sath bhag jati thi
Dr. Zia Ur Rehman Jafri

Post a Comment

कृपया स्पेम न करे |

Previous Post Next Post

Advertisement

preload preload preload preload preload